jaan se kaise jaya jata hai
ye hunar kya sikhaya jata hai
bol kar boliyan parindon ki
in ko ghere mein laya jata hai
baz wade kiye nahin jate
phir bhi un ko nibhaya jata hai
main na jaun kahin to phir dekhun
kis tarah mera saya jata hai
subh ke baad bhi jo raushan hon
in diyon ko bujhaya jata hai
Ghazal
Jaan se kaise jaya jata hai
Anjum Khayali