اردو हिंदी
Jaan rahe nochte hayat ke dukh | Shaahi Shayari
jaan rahe nochte hayat ke dukh

Ghazal

Jaan rahe nochte hayat ke dukh

Zafar Rabab

;

jaan rahe nochte hayat ke dukh
zat ke aur kaenat ke dukh

kuchh bigaDa na waqt ne in ka
hain jawan ab bhi mere sath ke dukh

roz-marra ka ban gae mamul
roz-marra muamalat ke dukh

fatah ne bhi shikast-o-reKHt hi di
jit se munsalik the mat ke dukh

rah gaya ab junun hi kam-amez
ishq mein to hain baat baat ke dukh

hum gharibon ke roz-o-shab na puchh
din mein bhi jagte hain raat ke dukh

TuTne mein hi aafiyat thi 'rabab'
jhelta kaun ehtiyat ke dukh