jaan pyari thi magar jaan se be-zari thi
jaan ka kaam faqat jaan-faroshi nikla
KHak main us ki judai mein pareshan phirun
jab ki ye milna bichhaDna meri marzi nikla
sirf rona hai ki jina paDa halka ban ke
wo to ehsas ki mizan pe bhaari nikla
ek nae nam se phir apne sitare uljhe
ye naya khel nae KHwab ka bani nikla
wo meri ruh ki uljhan ka sabab jaanta hai
jism ki pyas bujhane pe bhi raazi nikla
meri bujhti hui aankhon se kiran chunta hai
meri aankhon ka khanDar shahr-e-maani nikla
meri ayyar nigahon se wafa mangta hai
wo bhi mohtaj mila wo bhi sawali nikla
main use DhunDh raha tha ki talash apni thi
ek chamakta hua jazba tha ki jali nikla
main ne chaha tha ki ashkon ka tamasha dekhun
aur aankhon ka KHazana tha ki KHali nikla
ek nai dhup mein phir apna safar jari hai
wo ghana saya faqat tifl-e-tasalli nikla
main bahut tez chala apni tabahi ki taraf
us ke chhuTne ka sabab narm-KHirami nikla
ruh ka dasht wahi jism ka virana hai
har naya raaz purana laga basi nikla
sirf hashmat ki talab jah ki KHwahish pai
dil ko be-dagh samajhta tha jazami nikla
ek bala aati hai aur log chale jate hain
ek sada kahti hai har aadmi fani nikla
main wo murda hun ki aankhen meri zindon jaisi
bain karta hun ki main apna hi sani nikla
Ghazal
Jaan pyari thi magar jaan se be-zari thi
Saqi Faruqi