jaan o dil sin main giraftar hun kin ka un ka
banda-e-be-zar-o-dinar hun kin ka un ka
sabr ke bagh ke manDwe se jhaDa hun jiyun phul
ab to lachaar gale haar hun kin ka un ka
hauz-e-kausar ki nahin chah-e-zanaKHdan ki qasam
tishna-e-sharbat-e-didar hun kin ka un ka
lab-o-ruKHsar ke gul-qand sin lazim hai ilaj
dil ke aazar sin bimar hun kin ka un ka
muddaten huin ki hua KHana-e-zanjir KHarab
basta-e-zulf-e-girah-dar hun kin ka un ka
tishna-e-marg kun hai aab-e-surahi dam-e-tegh
bismil-e-abru-e-KHamdar hun kin ka un ka
nahaq is sang-dili sin mujhe dete hain shikast
main to aaina-e-sarkar hun kin ka un ka
gulshan-e-wasl mein rahta hun ghazal-KHwan-e-firaq
andalib-e-gul-e-ruKHsar hun kin ka un ka
main kaha rahm patangon pe kar ai jaan-e-'siraj'
tab kaha sham-e-shab-tar hun kin ka un ka
Ghazal
Jaan o dil sin main giraftar hun kin ka un ka
Siraj Aurangabadi

