jaan-o-dil hain udas se mere
uTh gaya kaun pas se mere
koi bhi ab umid baqi hai
puchhiyo dagh-e-yas se mere
sab ki arzi se KHush ho tum lekin
ho KHafa iltimas se mere
shayad uThne ka qasd tum ne kiya
uD chale kuchh hawas se mere
aish mujh tak to pahunche tab jo Tale
fauj-e-gham aas-pas se mere
dur hi dur phirte hain kuchh baKHt
ab to ummid-o-yas se mere
kya main Thahraun us ko dil mein 'hasan'
hai wo bahar qayas se mere
Ghazal
Jaan-o-dil hain udas se mere
Meer Hasan