jaan nahin pahchan nahin hai
phir bhi to wo anjaan nahin hai
har gham sahna aur KHush rahna
mushkil hai aasan nahin hai
dil mein jo mar jae wo hai arman
jo nikle arman nahin hai
mujh ko KHushi ye hai ki KHushi ka
mujh pe koi ehsan nahin hai
ab na dikhana tabish-e-jalwa
ab aankhon mein jaan nahin hai
sab kuchh hai is daur-e-hawas mein
dil ka itminan nahin hai
ab ke 'waqar' aise bichhDe hain
milne ka imkan nahin hai
Ghazal
Jaan nahin pahchan nahin hai
Waqar Manvi