اردو हिंदी
Jaan muqaddar mein thi jaan se pyara na tha | Shaahi Shayari
jaan muqaddar mein thi jaan se pyara na tha

Ghazal

Jaan muqaddar mein thi jaan se pyara na tha

Shahzad Ahmad

;

jaan muqaddar mein thi jaan se pyara na tha
mere liye subh thi subh ka tara na tha

bahr-e-shab-o-roz mein bah gae tinke se hum
mauj-e-bala-KHez thi aur kinara na tha

jaan ke dushman the sab log tere shahr ke
umr kaTi jis jagah pal bhi guzara na tha

sard rahi umr bhar anjuman-e-arzu
KHar-o-KHas-e-shauq mein koi sharara na tha

kis ke liye jagte kis ki taraf bhagte
itne baDe shahr mein koi hamara na tha

shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab
us ki taraf chal diye jis ne pukara na tha

dur sahi manzilen ab na rahin himmaten
TuT gae pa-e-shauq dil abhi haara na tha