jaan ki bari hai ab dil ka ziyan aisa na tha
KHair jo kuchh bhi hua hum ko guman aisa na tha
saKHt jaisi ab hai qadmon mein zamin aisi na thi
sar pe jaisa ab hai bhaari aasman aisa na tha
ek zamana ho gaya is rah se guzre hue
ye gali aisi nahin thi ye makan aisa na tha
tha KHas-o-KHashak ki manind apna hi wajud
sirf hum par hi giri hon bijliyan aisa na tha
us kinare ka tasawwur mein bhi aana hai muhaal
tha to pahle se samundar be-karan aisa na tha
apni nakaami to pahle se muqaddar thi 'shakil'
hum pe kuchh mushkil raha ho imtihan aisa na tha
Ghazal
Jaan ki bari hai ab dil ka ziyan aisa na tha
Shakeel Gwaliari