jaan KHud-shanas ho to dua mein asar bhi hai
main jal raha hun tujh ko meri kuchh KHabar bhi hai
shahr-e-gulab mein bhi koi DhunDhta raha
wo dhup jis mein tere badan ka shajar bhi hai
wo aks hun ki mujh mein tere KHal-o-KHad nahin
tu mera aaina bhi hai aaina-gar bhi hai
sochon to zar-nigar se chehre bhi sath hain
dekhun to ye safar mera tanha safar bhi hai
main bhi hun zaKHm zaKHm tere intizar mein
ek sham rahguzar mera viran ghar bhi hai
kya hai jo kam-nazar mujhe pahchante nahin
chehra bhi hai mera mere shanon pe sar bhi hai
KHushbu ke pairahan se ujale ke jism tak
main hun to phir saliqa-e-arz-e-hunar bhi hai
Ghazal
Jaan KHud-shanas ho to dua mein asar bhi hai
Jazib Quraishi