jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya
kam-hauslon ne maut ko shafi samajh liya
jo guftugu mein sab se zaruri tha wo suKHan
un ki samaaton ne izafi samajh liya
ek shart-e-justuju bhi thi manzil ke waste
hum ne bas aarzu ko hi kafi samajh liya
KHuddari-e-junun mein in aankhon ne tere baad
ashkon ko bhi wafa ke munafi samajh liya
'jazib' na jaane kaun si duniya ka shaKHs tha
jis ne sazaon ko bhi muafi samajh liya

Ghazal
Jaan ke ziyan ko gham ki talafi samajh liya
Shakeel Jazib