اردو हिंदी
Jaan jata hai ab to aa jaani | Shaahi Shayari
jaan jata hai ab to aa jaani

Ghazal

Jaan jata hai ab to aa jaani

Siraj Aurangabadi

;

jaan jata hai ab to aa jaani
hijr ki aag par chhiDak pani

daman o aastin kun ro ro kar
KHun-e-dil sin kiya hun afshani

zulf teri sin dad paunga
hat aai hai ab pareshani

lala-ru phir bahaar aai hai
kyun na hue phul ki farawani

ganj-e-maKHfi sin aashna hai 'siraj'
jab sin hui hai nigah rahmani