jaan jae agar to jaane de
apni taswir to banane de
aaKHir aisi bhi kya hai had-bandi
hath ko hath tak to aane de
ek hi aag ka bujhana kya
dusri aag bhi lagane de
kya zaruri hai KHud ko khoya jae
pa raha hun tujhe so pane de
dastaken kyun hawa pe deta hai
dar-o-diwar to banane de
main naya pairahan badal dunga
dagh aata hai ab to aane de
zindagi to hamein pasand aai
ab hamein apne ghar bhi jaane de
teri zulfon mein tirgi hai bahut
la mujhe raushni banane de
rasta gar nahin to phir 'mohsin'
mujh ko be-rasta hi jaane de
Ghazal
Jaan jae agar to jaane de
Mohsin Asrar

