jaan hum tujh pe diya karte hain
nam tera hi liya karte hain
chaak karne ke liye ai naseh
hum gareban siya karte hain
saghar-e-chashm se hum baada-parast
mai-e-didar piya karte hain
zindagi zinda-dili ka hai nam
murda-dil KHak jiya karte hain
sang-e-aswad bhi hai bhaari patthar
log jo chum liya karte hain
kal na dega koi miTTi bhi unhen
aaj zar jo ki diya karte hain
dafn mahbub jahan hain 'nasiKH'
qabren hum chum liya karte hain
Ghazal
Jaan hum tujh pe diya karte hain
Imam Bakhsh Nasikh