jaan-fishani ka wan hisab abas
jo kaho us ka hai jawab abas
mahtab aur katan ka aalam hai
aariz-e-dost par naqab abas
qufl-e-dar ki kalid na-paida
ab tamanna-e-fath-e-bab abas
zulf-e-pur-KHam hawa se kyun na hile
aap khate hain pech-o-tab abas
KHat use bhejna zarur magar
dost se KHwahish-e-jawab abas
mere ashaar sab bayazi hain
ham-nashin fikr-e-inteKHab abas
hai hamari nazar mein hurmat-e-mai
pechish-e-ahl-e-ehtisab abas
yan nahin kufr-o-din KHauf-o-raja
lutf be-faeda itab abas
na sawab us mein hai na is mein asar
sabr ba-huda iztirab abas
wada us ne kiya to kya 'nazim'
abas ai KHanuman-KHarab abas
Ghazal
Jaan-fishani ka wan hisab abas
Syed Yusuf Ali Khan Nazim