اردو हिंदी
Jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai | Shaahi Shayari
jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai

Ghazal

Jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai

Jafar Baluch

;

jaan-e-fikr-o-fan ab bhi ishq ki kahani hai
lafz hain nae lekin dastan purani hai

zindagi ke afsane ek se sahi lekin
jo meri kahani hai wo meri kahani hai

dekhta hai rah rah kar munh nigah walon ka
misra-e-gharib apna naqsha-e-be-zabani hai

iltifat farmaen ya taghaful apnaen
muddaa hasinon ka sirf jaan-sitani hai

pur-KHata sahi 'jafar' be-wafa sahi 'jafar'
KHair tum sahi haq par baat kya baDhani hai