jaan-e-ayyam-e-dilbari hai yaad
sair-e-gul-zar-o-mai-KHori hai yaad
dekhta nahin suraj kun nazran bhar
jis kun tujh jama-e-zari hai yaad
KHub phuli thi bagh mein nargis
gul-e-sad-barg-o-jafari hai yaad
wo charaghan o chandni ki raat
sair-e-hat-phul o phuljhaDi hai yaad
wo tamasha o khel holi ka
sab ke tan raKHt-e-kesari hai yaad
ho diwana jangal mein kyun na phire
jis ko wo saya-e-pari hai yaad
ai siyah mast meri ankhiyon ki
lal baadal ki tujh jhuri hai yaad
jab tuman pas 'faez' aaya tha
baat kahna bi sarsari hai yaad

Ghazal
Jaan-e-ayyam-e-dilbari hai yaad
Faez Dehlvi