jaan dete hi bani ishq ke diwane se
shama ka haal na dekha gaya parwane se
aatish-e-ishq se jal jal gae parwane se
pahle ye aag lagi kaba o but-KHane se
saqiya girya-e-gham se mujhe majbur samajh
KHun rista hai ye TuTe hue paimane se
raat ki raat chaman mein hai numud-e-shabnam
subh hote hi bikhar jaenge sab dane se
dam-e-aKHir teri aankhon ki balaen le lun
aur dam bhar jo na chhalke mere paimane se
hae kya chiz thin wo mast nigahen 'shair'
jhumta-jhamta nikla hun pari-KHane se
Ghazal
Jaan dete hi bani ishq ke diwane se
Agha Shayar Qazalbash