jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha
rah-e-talab mein kis ko ye andaza tha
aankhon mein didar ka kajal Dala tha
aanchal pe ummid ka tara Tanka tha
hathon ki banken chhan chhan chhan hansti thin
pairon ki jhanjhan ko ghussa aata tha
hawa sakhi thi meri, rut ham-joli thi
hum tinon ne mil kar kya kya socha tha
har kone mein apne aap se baaten kin
har pahchal par aaine mein dekha tha
sham Dhale aahaT ki kirnen phuTi thin
suraj Dub ke mere ghar mein nikla tha
Ghazal
Jaan dena bas ek ziyan ka sauda tha
Zehra Nigaah