jaan de kar wafa mein nam kiya
zindagi bhar main ek kaam kiya
be-naqab aa gaya sar-e-mahfil
yar ne aaj qatl-e-am kiya
aasman bhi use sata na saka
tu ne jis dil ko shad-kaam kiya
ishq-bazi tha kaam rindon ka
tu ne is KHas shai ko aam kiya
ab ke yunhi guzar gai barsat
hum ne KHali na ek jam kiya

Ghazal
Jaan de kar wafa mein nam kiya
Sufi Tabassum