jaan-ba-lab waise hi the aur hamein mar chala
dhup ke sath kahan saya-e-diwar chala
baz-gashton ke taaqub se pareshan ho kar
main bhi aawaz ke jangal mein dhuan-dhaar chala
main ne hum zawiya qabu nahin paya ab tak
ai tamanna mere sine mein na talwar chala
ye safar wo hai jahan sans ke par jalte hain
tujh ko zid hai to phir ai hasti-e-bekar chal aa
chaak-damani se pahle hi bikhar jaenge
yun shagufon mein agar tazkira-e-KHar chala
gir paDi ret ki diwar to mayusi mein
gard-e-wahshat na uDa KHun ki bauchhaar chala
Ghazal
Jaan-ba-lab waise hi the aur hamein mar chala
Muzaffar Hanfi