jaan aankhon mein rahi ji se guzarne na diya
achchhi didar ki hasrat thi ki marne na diya
muddaton kashmakash-e-yas-o-tamanna mein rahe
gham ne jine na diya shauq ne marne na diya
na-KHuda ne mujhe daldal mein phansae rakkha
Dub marne na diya par utarne na diya

Ghazal
Jaan aankhon mein rahi ji se guzarne na diya
Shaikh Abdul Lateef Tapish