jam to jam mai-e-hosh-ruba bhi badli
sath hi rindon ke pine ki ada bhi badli
fasl-e-gul badli saba badli faza bhi badli
aap badle to gulistan ki hawa bhi badli
TuT jaega yaqinan dil-e-mai-KHwar agar
nigah-e-saqi-e-mai-KHana zara bhi badli
bazm-e-yaran mein sada se mujhe pahchanta kaun
mere haalat jo badle to sada bhi badli
aaj tak us ne to wada koi ifa na kiya
jaane kya soch ke phir shart-e-wafa bhi badli
hone lagta hai kuchh ehsas shikast-e-tauba
baada-KHane pe agar chhai zara bhi badli
waqt ke sath badal jati hai har shai 'ajiz'
aap to badle magar KHu-e-jafa bhi badli
Ghazal
Jam to jam mai-e-hosh-ruba bhi badli
Ajiz Matvi