اردو हिंदी
Jam na rakh saqiya shab hai paDi aur bhi | Shaahi Shayari
jam na rakh saqiya shab hai paDi aur bhi

Ghazal

Jam na rakh saqiya shab hai paDi aur bhi

Nazeer Akbarabadi

;

jam na rakh saqiya shab hai paDi aur bhi
phir jahan kaT gae chaar ghaDi aur bhi

pahle hi saghar mein the hum to paDe loTte
itne mein saqi ne di us se kaDi aur bhi

palken to chhede thin dil mare thi barchhi-nigah
abru ne us par se ek tegh jaDi aur bhi

kuchh tapish-e-dil thi kuchh sunte hi furqat ka nam
aag si ek aag par aan paDi aur bhi

meri shab-e-wasl ki subh chali aati hai
rok le is dam falak ek ghaDi aur bhi

garche ubhar aae hain tan pe mere par miyan
itni lagain jahan ek chhaDi aur bhi

kya kahun us shoKH ki wah mein KHubi 'nazir'
sunte hi is baat ke ek jaDi aur bhi