jam lete hain na pine ko subu lete hain
hum magar sarhad-e-idrak ko chhu lete hain
mai mayassar jo nahin pyas bujhane ke liye
hum to chalo main ab apna hi lahu lete hain
meri begana-rawi mujh ko bacha leti hai
intiqam apni taraf se to adu lete hain
toD dete hain use kis liye phir ahl-e-junun
mang kar KHud hi to zanjir-e-gulu lete hain
sirf aankhon ki tasalli ke liye hai ye sair
rang lete hain na hum phul se bu lete hain
TuT jae na kisi zaKHm ka Tanka ai dost
kaam hum zabt se hangam-e-rafu lete hain
kiya 'munawar' abhi baalidgi-e-shauq ka zikr
kis qadar waqt shajar bahr-e-numu lete hain
Ghazal
Jam lete hain na pine ko subu lete hain
Munawwar Lakhnavi