jam la jam ki aalam se ji Darta hai
asar-e-gardish-e-ayyam se ji Darta hai
lab pe ab aariz-o-gesu ke fasane kya hon
fitnaha-e-sahar-o-sham se ji Darta hai
tujh ko main DhunDhta phirta hun dar-o-baam se dur
ab tajalli-e-dar-o-baam se ji Darta hai
gul khilae na kahin fitna-e-dauran kuchh aur
aaj-kal daur-e-mai-o-jam se ji Darta hai
nigah-e-mast ke qurban meri samt na dekh
mauja-e-baada-e-gulfam se ji Darta hai
chhoD kar rah mein but-KHane guzar jata hun
hosh mein jalwa-e-asnam se ji Darta hai
raat ki zulmaten baDhti hi chali jati hain
'aKHtar' apna to sar-e-sham se ji Darta hai
Ghazal
Jam la jam ki aalam se ji Darta hai
Akhtar Ansari Akbarabadi