اردو हिंदी
Jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se | Shaahi Shayari
jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se

Ghazal

Jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se

Ezaz Afzal

;

jam khanke to sambhaala na gaya dil tum se
hai abhi dur bahut zabt ki manzil tum se

hum to dariya mein bahut dur nikal aae hain
lauT jao abhi nazdik hai sahil tum se

justuju sarhad-e-idrak se aage na baDhi
do-qadam tai na hua mahala-e-dil tum se

KHalwat-e-shauq ke dar band kiye leta hun
ab shikayat na karegi koi mahfil tum se

saKHt-jaani meri aasuda-e-KHanjar to na thi
kyun nikala gaya hausla-e-dil tum se

tum to naghmon ki fasilon pe bahut nazan the
kyun dabaya na gaya shor-e-salasil tum se

dhaDkanon ko nazar-andaz kiye jate ho
phir na kahna ki muKHatab na hua dil tum se