اردو हिंदी
Jam Khaali hain mai-e-nab kahan se laun | Shaahi Shayari
jam Khaali hain mai-e-nab kahan se laun

Ghazal

Jam Khaali hain mai-e-nab kahan se laun

Nawab Moazzam Jah Shaji

;

jam KHali hain mai-e-nab kahan se laun
aap ka dida-e-pur-ab kahan se laun

kah sakun un ki nigahon ka tabassum jis ko
ek aisa dil-e-be-tab kahan se laun

ishq KHud apni jagah par hai mukammal lekin
husn ka jauhar-e-nayab kahan se laun

samna tum se mohabbat mein jo ho jae kabhi
ek naya aalam-e-asbab kahan se laun

kaba-o-dair ki rahon se guzar jata hun
mahfil-e-naz ke aadab kahan se laun

ek hi bar nasheman pe giri hai bijli
barha gulshan-e-shadab kahan se laun

jo kabhi un ki tawajjoh ka natija thi 'shajia'
phir wahi kaifiyat-e-KHwab kahan se laun