اردو हिंदी
Jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye | Shaahi Shayari
jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye

Ghazal

Jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye

Mohsin Bhopali

;

jam-e-tahi qubul na tha gham samo liye
phulon ke intizar mein kanTe chubho liye

mahrumi-e-dawam bhi kya lutf de gai
ye soch kar hanse hain ki ek umr ro liye

hum hain wo sada-lauh ki pa kar raza-e-dost
KHud apne hath apne hi KHun mein Dubo liye

jis samt se bhi bang-e-jaras aai dasht mein
diwangan-e-shauq usi samt ho liye

pichhla pahar hai shab ka ki hai sham ka saman
wo kya bata sakenge jo ek nind so liye

kya jabr hai subut-e-wafa pesh kijiye
aur un ka nam aae to phir lab na kholiye

'mohsin' zaban dijiye bazm-e-KHamosh ko
mohmal hai aaj lafz-e-suKHan kuchh to boliye