jam de aur na kar waqt pe takrar ki bas
saqiya abr uTha hai ye dhuan-dhaar ki bas
kya tamasha hai jo kal raat wo lae tashrif
be-KHudi ne ye liya aan ke yakbar ki bas
kyun na dil aise ko dun main ne kal un se jo kaha
dard hota hai mere dil mein ye ai yar ki bas
sunte hi ho ki hum aaghosh kaha hans ke tujhe
dard-e-dil ki hai dawa aur bhi darkar ki bas
rashk se kyun na jale mehr-e-daraKHshan 'maruf'
hai mere yar ki ye garmi-e-bazar ki bas
Ghazal
Jam de aur na kar waqt pe takrar ki bas
Maroof Dehlvi