اردو हिंदी
Jahil ko agar jehl ka inam diya jae | Shaahi Shayari
jahil ko agar jehl ka inam diya jae

Ghazal

Jahil ko agar jehl ka inam diya jae

Mohsin Bhopali

;

jahil ko agar jehl ka inam diya jae
is hadisa-e-waqt ko kya nam diya jae

maiKHane ki tauhin hai rindon ki hatak hai
kam-zarf ke hathon mein agar jam diya jae

hai KHu-e-ayazi hi sazawar-e-malamat
mahmud ko kyun tana-e-ikram diya jae

zid hai ki unhen man ke sarKHil-e-bahaaran
ghunchon ki taraf se koi paigham diya jae

hum maslahat-e-waqt ke qail nahin yaro
ilzam jo dena hai sar-e-am diya jae

behtar hai ki is bazm se uTh aaiye 'mohsin'
sarqe ko jahan rutba-e-ilham diya jae