jagti aaankhon ko KHwabon ki saza de jaega
phir purana dost koi dukh naya de jaega
jaane kab TuTega ye lafz o maani ka tilism
jaane kab wo gunge lafzon ko sada de jaega
buDhi aaankhon ne sajaya hai jawan beTe ka KHwab
kanpte hathon mein ek KHat Dakiya de jaega
raat din lipTa hai pairon se mere andha safar
ajnabi ehsas manzil ka pata de jaega
muskuraati zindagi ke KHun ka pyasa uqab
waqt ke hathon mein zaKHmi faKHta de jaega
jhuT is se pahle to bachchon ke honTon par na tha
bhuk ka aaseb un ko aur kya de jaega
raat ke aangan mein suraj ke musafir ka qayam
phul se jismon ko zaKHmon ki qaba de jaega
mere munsif faisla tera sar-e-taslim KHam
jo bhi kuchh hoga muqaddar ka likha de jaega
phir dulhan banne se pahle muflisi bewa hui
phir amir-e-shahr KHwabon ko chita de jaega
Ghazal
Jagti aaankhon ko KHwabon ki saza de jaega
Javed Akram Farooqi