jagte mein raat mujh ko KHwab dikhlaya gaya
ban ke shaKH-e-gul meri aankhon mein lahraya gaya
jo masak jae zara si ek nok-e-harf se
kyun mujhe aisa libas-e-jism pahnaya gaya
apne apne KHauf-ghar mein log hain sahme hue
daere se khinch kar nuqte ko kyun laya gaya
ye mera apna badan hai ya khanDar KHwabon ka hai
jaane kis ke hath se aisa mahal Dhaya gaya
baDh chali thi mauj apni had se lekin tham gai
us ne ye samjha tha ki patthar ko pighlaya gaya
raat ek mina ne chuma tha lab-e-saghar 'shamim'
baat bas itni thi jis ko KHub phailaya gaya
Ghazal
Jagte mein raat mujhko KHwab dikhlaya gaya
Syed Ahmed Shameem