اردو हिंदी
Jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai | Shaahi Shayari
jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai

Ghazal

Jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai

Ata Abidi

;

jagte hi nazar aKHbar mein kho jati hai
zindagi dard ke ambar mein kho jati hai

na-KHuda aql ke patwar uThata hai ki jab
kashti-e-dil meri manjdhaar mein kho jati hai

be-sabab sochne wale kabhi socha tu ne
aagahi kasrat-e-afkar mein kho jati hai

uDte rahte hain KHayalat ke jugnu phir bhi
baat kyun parda-e-izhaar mein kho jati hai

us ke kaamon ka hai rangin KHushamad pe madar
aur mehnat meri isar mein kho jati hai

hurmat-e-parda zaruri hai 'ata-ji' warna
chiz jaisi bhi ho bazar mein kho jati hai