jagte din ki gali mein raat aankhen mal rahi hai
waqt guzra ja raha hai dhup chhat se Tal rahi hai
ek libas-e-faKHira hai surKH gharqabi mahal hai
kuchh purani ho gai hai par kahani chal rahi hai
ek sitara saz aankhon ke kinare bas raha hai
ek mohabbat nam ki laDki badan mein pal rahi hai
pas tha khoya nahin hai jo na tha ab bhi nahin hai
umr bhar phir kyun tabiat muztarib be-kal rahi hai
aana jaana sans ka kya wasl se mashrut hai
tu chale to tham rahi hai tu ruke to chal rahi hai
zard-ru wahshat-zada bhaTki hui viran si
zindagi ek sham hai aur sham ban mein Dhal rahi hai
Ghazal
Jagte din ki gali mein raat aankhen mal rahi hai
Sidra Sahar Imran