jage zamir zehn khule tazgi mile
chhuTe gahan ki mujh ko meri raushni mile
kyun zabt-o-ehtiyat mein guzre tamam umr
is muntashir dimagh ko bas barhami mile
har ajnabi se shahr mein DhunDo KHulus-e-dil
har aashna-e-shahr se begangi mile
johla-e-bad-zaban banen rahbaran-e-qaum
ulama-e-KHush-kalam ko bas gum-rahi mile
ai jazba-e-supurdagi KHud ko zara sambhaal
aisa na ho tujhe bhi wahi be-ruKHi mile
Ghazal
Jage zamir zehn khule tazgi mile
Yaqoob Rahi