اردو हिंदी
Jaga hai kachchi nind se mat chheDiye use | Shaahi Shayari
jaga hai kachchi nind se mat chheDiye use

Ghazal

Jaga hai kachchi nind se mat chheDiye use

Saif Sahsarami

;

jaga hai kachchi nind se mat chheDiye use
kya jaane kya junun mein munh se nikal paDe

sawan ki rut bhi ab ke baras be-KHabar gai
baadal uThe to jaane kahan par baras gae

qad-awari pe apni hamein naz tha bahut
suraj uga to qad se bhi sae daraaz the

mujrim bane ki sikka tha ahd-e-qadim ka
bazar le gae to giraftar ho gae

bachpan ki KHwahishon ka gala ghonTna paDa
jab hum KHala se par hue to khanDar mile

KHalwat ka us ki bhed kisi pe khulega kya
diwaren be-zaban hain gunge hain aaine

ai 'saif' hum bhi yusuf-e-sani hain aaj-kal
andhe kunen se nikle to bazar mein bike