jag ke mere sath samundar raaten karta hai
jab sab log chale jaen to baaten karta hai
sham ko der se pahunchun to lagta hai KHafa mujh se
mujh se bahut barham ho aisi ghaten karta hai
mere siwa shayad us ka bhi koi dost nahin
meri apni jaane kya kya baaten karta hai
dil gham se bojhal ho to dekho phir chheDen us ki
chhinTe munh pe mar ke kya barsaten karta hai
aur bhi gahri ho jati hai us ki sargoshi
mujh se kisi ki aankhon ki jab baaten karta hai
mujh ko motiyon se kya lena 'zeb' samundar bhi
jaane kya mere ashkon ki saughaten karta hai
Ghazal
Jag ke mere sath samundar raaten karta hai
Zeb Ghauri