jag aur dekh zara aalam-e-viran mera
subh ke bhes mein nikla hai gareban mera
fitrat-ara-e-junun hai tan-e-uryan mera
meri be-chaargiyan hain sar-o-saman mera
ghalba-e-yas baja shiddat-e-hirman taslim
main samajhta hun ki marna nahin aasan mera
toD kaliyan magar ai KHana-bar-andaz-e-chaman
arz ye hai ki nasheman na ho uryan mera
tumhein kyun madd-e-nazar ab hai KHarabi us ki
tum to kahte the ki ghar hai dil-e-insan mera
tha ye faiz-e-nigah-e-lutf-o-karam ai 'simab'
ho gaya harf-e-ghalat daftar-e-isyann mera
Ghazal
Jag aur dekh zara aalam-e-viran mera
Seemab Akbarabadi