اردو हिंदी
Jaen kahan hum aap ka arman liye hue | Shaahi Shayari
jaen kahan hum aap ka arman liye hue

Ghazal

Jaen kahan hum aap ka arman liye hue

Amjad Najmi

;

jaen kahan hum aap ka arman liye hue
dard-e-firaq-o-kawish-e-hijran liye hue

in aansuon ki tum ko haqiqat bataen kya
aankhen hain meri shaukat-e-tufan liye hue

ranj-e-firaq bhi hai nashat-e-visal bhi
hun sath sath dard ke darman liye hue

aasan nahin visal to dushwar bhi nahin
mushkil mein hun ye mushkil-e-asan liye hue

rahmat ne luT luT liya mujh ko hashr mein
pahuncha jo main bizaat-e-isyan liye hue

yarab ho KHair aamad-e-fasl bahaar ki
dast-e-junun hai chaak-e-gareban liye hue

'najmi' hamari chashm-e-basirat ke waste
hai gul ki pankhuDi bhi gulistan liye hue