jaen ghuD-dauD par ki khelen tash
'mir'-ji raaz-e-ishq hoga fash
pattharon mein laga rahe hain jonk
chand mein KHun-e-garm ki hai talash
yun jhagaDte hain jhuTi qadron par
zan-e-fahish pe jis tarah aubash
nae andaz se hanut hui
ab na bu degi zindagi ki lash
uD gaya bhap ban ke dil ka lahu
ab zamin dur hai qarib aakash
hue mafluj wo bhi jin ke liye
ek aalam tha bar-sar-e-parKHash
lala-e-koh ko dimagh nahin
nashsha lati hai muKHtalif KHashKHash
kaise bhukon marenge itne log
be-huda ahd-e-nau mein fikr-e-qimash
haf-iqlim ke KHazanon par
hath Dalenge an-ginat qallash
ab na aaya hisar se bahar
naqsh mein KHud hi Dhal gaya naqqash
rashk-e-gul hon ki misl-e-nashtar hon
yahi naKHun 'nazar' mein zaKHm-tarash

Ghazal
Jaen ghuD-dauD par ki khelen tash
Qayyum Nazar