jae KHirad nahin hai ki farzana chahiye
hu ka maqam hai koi diwana chahiye
hai is mein qaid-e-shahr na virana chahiye
bahr-e-faragh tab-e-faqirana chahiye
gunjaish-e-tasawwur-e-yak-lafz bhi nahin
yan har kisi ke waste afsana chahiye
yan har qadam hai mahshar-e-imkan-e-nau-ba-nau
yan har qadam pe sajda-e-shukrana chahiye
jab tak ki hain zamane mein hum se KHarab log
masjid kahin kahin koi mai-KHana chahiye
malum hai KHuda ko jo haalat dilon ki hai
ai shaiKH hum faqiron pe fatwa na chahiye
rakhte hain 'anjum' aap jo auron ke waste
apne liye bhi to wahi paimana chahiye
Ghazal
Jae KHirad nahin hai ki farzana chahiye
Anjum Rumani