jadui mahaul mein har lene wali chhatriyan
malgaji rut dudhiya hathon mein kali chhatriyan
hum ne jin qadron ko samjha tha KHayali chhatriyan
thin wahin tufan mein kaam aane wali chhatriyan
gham ke sahra ki tapish KHud jhelni hogi hamein
bewafa ahbab hain sae se KHali chhatriyan
aaj KHud hi be-tahaffuz hain zamane ke KHuda
waqt wo hai KHud hain sae ki sawali chhatriyan
teri furqat ki tapish kuchh in se kam hoti nahin
jam-o-raqs-o-naghma hain sab dekhi-bhaali chhatriyan
ye hasin chehre ye gore sanwi chikne badan
ye ghamon ki dhup mein kaam aane wali chhatriyan
kaT hi lega bashar dukh ki bhari barsat ko
tan kar jhuTi umidon ki KHayali chhatriyan
dhup ke mare huo kohsar ke daman mein aao
patta patta saeban hain Dali Dali chhatriyan
Ghazal
Jadui mahaul mein har lene wali chhatriyan
Shabab Lalit