اردو हिंदी
Jadu-e-KHwab mein kuchh aise giraftar hue | Shaahi Shayari
jadu-e-KHwab mein kuchh aise giraftar hue

Ghazal

Jadu-e-KHwab mein kuchh aise giraftar hue

Hasan Nayeem

;

jadu-e-KHwab mein kuchh aise giraftar hue
barish-e-sang hui bhi to na bedar hue

jab the KHush-haal bhale lagte the rishte gham ke
ab wahi rishte meri jaan ka aazar hue

jab talak panw mein wahshat thi junun mein taqat
na kisi sae mein baiThe na kabhi KHar hue

main ne jab gulf mein kuchh daulat-o-izzat pai
aalam-e-fan bhi mere haq mein razakar hue

jab khule naqd ke ausaf ba-faiz-e-naqdi
kuchh risalon ke editor bhi taraf-dar hue

wasl se jin ke hai maghrib mein qayamat si bapa
un hi lounDon ke liye 'mir'-ji bimar hue

goliyan chalne ko tayyar thin pahle se 'naim'
hum to bas jhanDa uThane ke gunahgar hue