اردو हिंदी
JaDe mein kya maza ho wo to simaT rahe hon | Shaahi Shayari
jaDe mein kya maza ho wo to simaT rahe hon

Ghazal

JaDe mein kya maza ho wo to simaT rahe hon

Insha Allah Khan u0027Inshau0027

;

jaDe mein kya maza ho wo to simaT rahe hon
aur khol kar razai hum bhi lipaT rahe hon

ab aap ki damon mein hum aa chuke haTo bhi
KHush aawe pyare kis ko jab dil hi kaT rahe hon

kyunkar zaban se un ki apna bachaw howe
zat-o-sifat sab ke jab wo ukaT rahe hon

aate the sath mere dekho to kya hue wo
aisa na ho ki pichhe rishte mein kaT rahe hon

tab sair dekhe koi baham laDaiyon ke
khinche hon wo to tegha aur hum bhi DaT rahe hon

kya kar saken diwane haal-e-dil-e-pareshan
zulfon ke baal un ke jab aap laT rahe hon

aapas mein ruThne ka andaz ho to ye ho
wo hum se phaT rahe hon hum un se phaT rahe hon

ji chahta hai ai dil ek aisi raat aawe
matla ho saf shahra baadal bhi phaT rahe hon

sote hon chandni mein wo munh lapeTe aur hum
shabnam ka wo dupaTTa paTThe ulaT rahe hon

panjam ghazal ab 'insha' andaz ki suna di
aaghosh mein maani jis ke lipaT rahe hon