jada-e-zist mein tanwir-e-sahar aane tak
KHwab bunte raho tabir nazar aane tak
lauT bhi aaya to sadiyon ki thakan laega
subh ka bhula hua sham ko ghar aane tak
zindagi pyas se manus na ho jae kahin
waqt ke dasht mein ek lamha-e-tar aane tak
zulmaten chhin na len hum se muqaddas chehre
sham-e-maslub tere shola-ba-sar aane tak
hum gunahon ke pujari bhi to ban sakte hain
hasil-e-jazba-e-taqdis nazar aane tak
subh ki dhup dhundhalkon mein badal jati hai
shaKH-e-iflas pe zartab samar aane tak
chashm-e-be-KHwab ki surat hai samundar mein sadaf
abr-e-nisan se koi shola-e-tar aane tak
Ghazal
Jada-e-zist mein tanwir-e-sahar aane tak
Jamuna Parsad Rahi