اردو हिंदी
Jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa | Shaahi Shayari
jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa

Ghazal

Jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa

Mirza Ghalib

;

jada-e-rah KHur ko waqt-e-sham hai tar-e-shuaa
charKH wa karta hai mah-e-nau se aaghosh-e-widaa

shama se hai bazm-e-angusht-e-tahayyur dar dahan
shoala-e-awaz-e-KHuban par ba-hangam-e-simaa

jun par-e-taus jauhar taKHta mashq-e-rang hai
bas-ki hai wo qibla-e-aina mahw-e-iKHtiraa

ranjish-e-hairat-sarishtan sina-safi peshkash
jauhar-e-aina hai yan gard-e-maidan-e-nazaa

chaar su-e-dahr mein bazar-e-ghaflat garm hai
aql ke nuqsan se uThta hai KHayal-e-intifaa

aashna 'ghaalib' nahin hain dard-e-dil ke aashna
warna kis ko mere afsane ki tab-e-istimaa