jada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahna
panw jal jaen magar aag pe chalte rahna
jalwa-e-amn tumhin se hai mohabbat walo
mahr-e-taban ki tarah roz nikalte rahna
naghma-e-ishq na ho ek hi dhun par qaim
waqt ke sath zara rag badalte rahna
zindagi ko mah-o-anjum na ujala denge
tum na in jhuTe khilaunon se bahalte rahna
hai yahi waqt-e-amal johd-e-musalsal ki qasam
be-sahaaron ki tarah hath na malte rahna
zindagani hai faqat garmi-e-raftar ka nam
manzilen sath liye rah pe chalte rahna
hai sitaron ki tarah mail-e-parwaz 'shakil'
dushmano tum ko qasam hai yunhi jalte rahna
Ghazal
Jada-e-ishq mein gir gir ke sambhalte rahna
Shakeel Badayuni

