ja na tu hasrat-e-didar abhi baqi hai
ek ramaq mujh mein dam-e-yar abhi baqi hai
kyun na dekhun unhen nazron se KHaridar ki main
husn ki garmi-e-bazar abhi baqi hai
sab hue hasrat-o-arman to shab-e-gham mein shahid
rah gaya ek ye gunahgar abhi baqi hai
mil ke bhi mujh se khaTakte rahe har baat pe wo
KHar nikla KHalish-e-KHar abhi baqi hai
uTh ke 'tanwir' ke pahlu se na jaana ghar ko
dopahar raat sitamgar abhi baqi hai
Ghazal
Ja na tu hasrat-e-didar abhi baqi hai
Tanvir Dehlvi