ja laDi yar se hamari aankh
dekho kar baiThi faujdari aankh
shoKHiyan bhul jae aahu-e-chin
dekh pae agar tumhaari aankh
lakh inkar mai-kashi se karo
kahin chhupti bhi hai KHumari aankh
howega ranj ya KHushi hogi
kyun phaDakne lagi hamari aankh
jaanib-e-dar nigah-e-hasrat hai
kis ki karti hai intizari aankh
kar ke iqrar ho gaya munkir
samne aa ke kis ne mari aankh
murgh-e-dil par nigah hai un ki
aisi dekhi nahin shikari aankh
hai sitam nok-jhonk chitwan mein
laD rahi hai chhuri kaTari aankh
dil jigar donon ho gae majruh
ban gai hai chhuri kaTari aankh
koi dam mein ubhaarte hain use
us ne dekha ki hum ne mari aankh
'agha' sahab tumhaare dilbar ki
kya rasili hai kya hai pyari aankh
Ghazal
Ja laDi yar se hamari aankh
Aagha Akbarabadi