ja ke ye kah de koi shoalon se chingari se
phul is bar khile hain baDi tayyari se
apni har sans ko nilam kiya hai main ne
log aasan hue hain baDi dushwari se
zehn mein jab bhi tere KHat ki ibarat chamki
ek KHushbu si nikalne lagi almari se
shahazade se mulaqat to na-mumkin hai
chaliye mil aate hain chal kar kisi darbari se
baadshahon se bhi phenke hue sikke na liye
hum ne KHairaat bhi mangi hai to KHuddari se
Ghazal
Ja ke ye kah de koi shoalon se chingari se
Rahat Indori